Shayari
inkaar hi kar dijiye iqraar nahin to
uljhan hi mein mar jaaegaa bimaar nahin to
taqdir-e-vafaa kaa phuuT jaanaa
main bhulaa na dil kaa TuuT jaanaa
تقدیر وفا کا پھوٹ جانا
میں بھولا نہ دل کا ٹوٹ جانا
तक़दीर-ए-वफ़ा का फूट जाना
मैं भूला न दिल का टूट जाना

inkaar hi kar dijiye iqraar nahin to
uljhan hi mein mar jaaegaa bimaar nahin to
'raaghib' vo meri fikr mein khud ko bhi bhuul jaaein
aisi to koi baat nahin chaahtaa thaa main
ji chaahtaa hai jiinaa jazbaat ke mutaabiq
haalaat kar rahe hain haalaat ke mutaabiq
din mein aane lage hain khvaab mujhe
us ne bhejaa hai ik gulaab mujhe
le jaae jahaan chaahe havaa ham ko uDaa kar
TuuTe hue patton ki hikaayat hi alag hai
paDhtaa rahtaa huun aap kaa chehra
achchhi lagti hai ye kitaab mujhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
misl-e-mausam jo badalte to koi baat na thi
tu ne to badlaa hai girgiT ki tarah rang apnaa
achchhi qismat achchhaa mausam achchhe log
phir bhi dil ghabraa jaataa hai baaz auqaat
aisaa dil-kash thaa ki thi maut bhi manzur hamein
ham ne jis jurm ki kaaTi hai sazaa zindaan mein
ummid o yaas ki rut aati jaati rahti hai
magar yaqin kaa mausam nahin badaltaa hai