Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrbe-tarah dil mein bharaa rahtaa hai zulfon kaa dhuaan
dam nikal jaae kisi roz na ghuT kar apnaa
بے طرح دل میں بھرا رہتا ہے زلفوں کا دھواں
دم نکل جائے کسی روز نہ گھٹ کر اپنا
बे-तरह दिल में भरा रहता है ज़ुल्फ़ों का धुआँ
दम निकल जाए किसी रोज़ न घुट कर अपना
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ghar mein vahi piili tanhaai rahti hai
divaaron ke rang badalte rahte hain
dil bhi ajiib khaana-e-vahdat-pasand thaa
is ghar mein yaa to tu rahaa yaa be-dili rahi
dilon pe dard kaa imkaan bhi ziyaada nahin
vo sabr hai abhi nuqsaan bhi ziyaada nahin
dil jo ab shor kartaa rahtaa hai
kis qadar be-zabaan thaa pahle