Shayari
aakhiri umr tak rahegi yaad
raat main saath jis ke bhigaa thaa
vo maza ab kahaan rahaa yaaro
liyaa thaa jo maza javaani mein
وہ مزہ اب کہاں رہا یارو
لیا تھا جو مزہ جوانی میں
वो मज़ा अब कहाँ रहा यारो
लिया था जो मज़ा जवानी में

aakhiri umr tak rahegi yaad
raat main saath jis ke bhigaa thaa
aankhein maltaa rotaa chaand
dekho phir se niklaa chaand
baDi mushkil se bahlaayaa thaa khud ko
achaanak yaad teri aa gai phir
ab kisi kaam ke nahin ye rahe
dil vafaa ishq aur tanhaai
raaz-daan hote hain vo ghar aksar
jin gharon mein dhuaan nahin hotaa
abhi to mausam-e-khizaan hai ye
khileinge phuul bhi bahaar ke saath
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ab ke mausam mein ye meyaar-e-junun Thahraa hai
sar salaamat rahein dastaar na rahne paae
meri qismat mein gham gar itnaa thaa
dil bhi yaa-rab kai diye hote
kise dost apnaa banaaein ham kise dil kaa haal sunaaein ham
sabhi ghair hain sabhi ajnabi tire gaanv mein mire shahr mein
shaam hui hai yaar aae hain yaaron ke hamraah chalein
aaj vahaan qavvaali hogi 'jaun' chalo dargaah chalein