Shayari
thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dosti aur kisi gharaz ke liye
vo tijaarat hai dosti hi nahin
دوستی اور کسی غرض کے لئے
وہ تجارت ہے دوستی ہی نہیں
दोस्ती और किसी ग़रज़ के लिए
वो तिजारत है दोस्ती ही नहीं

thi chheD usi taraf se varna
main aur majaal aarzu ki
dariyaa ki tarah ravaan huun lekin
ab tak bhi vahin huun main jahaan huun
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
roz-e-jazaa mein aakhir puchhaa na jaaegaa kyaa
teraa ye chup lagaanaa meraa savaal karnaa
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazaalaan-e-shahri se hoshyaar rahnaa
dilbari jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahin jaadu nahin eajaaz nahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
samjhe the ham jo dost tujhe ai miyaan ghalat
teraa nahin hai jurm hamaaraa gumaan ghalat
na rakkhaa jag mein rasm-e-dosti andoh-rozi ne
magar zaanu se ab baaqi rahaa hai rabt-e-peshaani
tum ko samjhaae 'mubaarak' koi kyunkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhi samjhaane se
aap kaa ikhtiyaar hai sab par
aap par ikhtiyaar kis kaa hai
abas tu ghar basaataa hai miri aankhon mein ai pyaare
kisi ne aaj tak dekhaa bhi hai paani pe ghar Thahraa