Shayari
zabaan se sher ki taarif ho nahin sakti
ki ek zarre se ab tak hai aql naa-mahram
I
Izhaar Malihabadinigaar-khaana-e-hikmat kalid-e-baab-e-junun
amin-e-subh-e-masarrat rais-e-shaam-e-alam
نگار خانۂ حکمت کلید باب جنوں
امین صبح مسرت رئیس شام الم
निगार-ख़ाना-ए-हिकमत कलीद-ए-बाब-ए-जुनूँ
अमीन-ए-सुब्ह-ए-मसर्रत रईस-ए-शाम-ए-अलम
zabaan se sher ki taarif ho nahin sakti
ki ek zarre se ab tak hai aql naa-mahram
jilau mein hazrat-e-jibril sar jhukaae hue
buland arsh ke taaron se azmat-e-aadam
sharaab-e-husn-o-mohabbat fashurda-e-anjum
anis-e-shaam-o-sahar hamdam-e-vajud-o-adam
zamin se ahl-e-falak ko payaam-e-nazzaara
naqaab-e-aariz-e-fitrat ki jumbish-e-paiham
hazaar jaam chhalakte hue nafas-ba-nafas
hazaar baagh mahakte hue qadam-ba-qadam
jahaan hai sher charaagh-e-junun jalaae hue
vahaan khaDi hai khirad apnaa sar jhukaae hue
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
ye pahlaa ishq hai tumhaaraa soch lo
mire liye ye raastaa nayaa nahin
qatl karne kaa iraada hai magar sochtaa huun
tu agar aae to haathon mein jhijak paidaa ho
savaal karti kai aankhein muntazir hain yahaan
javaab aaj bhi ham soch kar nahin aae
main ne ye soch ke boe nahin khvaabon ke darakht
kaun jangal mein uge peD ko paani degaa