Shayari
siikh liyaa jiinaa main ne
itnaa zahr piyaa main ne
teri surat par gumaan-e-dasht-o-sahraa haae haae
tere qadmon mein bahaarein zindagi ai zindagi
تیری صورت پر گمان دشت و صحرا ہائے ہائے
تیرے قدموں میں بہاریں زندگی اے زندگی
तेरी सूरत पर गुमान-ए-दश्त-ओ-सहरा हाए हाए
तेरे क़दमों में बहारें ज़िंदगी ऐ ज़िंदगी

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
zulf-e-barham ki jab se shanaasaa hui
zindagi kaa chalan mujrimaana huaa
chhin liin khushiyaan miri aankhon se meri niind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diyaa kuchh bhi nahin