Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
sabr aa jaae is ki kyaa ummid
main vahi, dil vahi hai tu hai vahi
صبر آ جائے اس کی کیا امید
میں وہی، دل وہی ہے تو ہے وہی
सब्र आ जाए इस की क्या उम्मीद
मैं वही, दिल वही है तू है वही

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye chhaanv chhaanv na rovo 'zahir' dil ko sambhaalo
Dhali hai shaam magar yuun koi divaana huaa hai
kis kaa hai jigar jis pe ye bedaad karoge
lo dil tumhein ham dete hain kyaa yaad karoge
sab kuchh milaa hamein jo tire naqsh-e-paa mile
haadi mile dalil mile rahnumaa mile
hai dil mein agar us se mohabbat kaa iraada
le lijiye dushman ke liye ham se vafaa qarz