Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
sach puchhiye to naala-e-bulbul hai be-khataa
phulon mein saari aag lagaai sabaa ki hai
سچ پوچھیے تو نالۂ بلبل ہے بے خطا
پھولوں میں ساری آگ لگائی صبا کی ہے
सच पूछिए तो नाला-ए-बुलबुल है बे-ख़ता
फूलों में सारी आग लगाई सबा की है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
nishaan kyon DhunDhte ho ungliyon ke
qazaa aai thi dastaane pahan kar
jab ye panne kitaabon ke gal jaaeinge
mol bhi kyaa kahaani ke Dhal jaaeinge
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai
dekhaa hai jis ne husn-e-tajalli bahaar kaa