Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
thaa baDaa maarka mohabbat kaa
sar kiyaa main ne de ke sar apnaa
تھا بڑا معرکہ محبت کا
سر کیا میں نے دے کے سر اپنا
था बड़ा मअरका मोहब्बत का
सर किया मैं ने दे के सर अपना

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
mohabbat ne 'maail' kiyaa har kisi ko
kisi par kisi ko kisi par kisi ko
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
naasehaa puchhte phirte hain sabab uljhan kaa
'ishq gar khud ye karein hosh Thikaane lag jaaein