Shayari
uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
tum jo kahte ho bigaD kar ham na aaeinge kabhi
ye bhi kah do ab na aaegi hamaari yaad bhi
تم جو کہتے ہو بگڑ کر ہم نہ آئیں گے کبھی
یہ بھی کہہ دو اب نہ آئے گی ہماری یاد بھی
तुम जो कहते हो बिगड़ कर हम न आएँगे कभी
ये भी कह दो अब न आएगी हमारी याद भी

uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
un ki yaad mein bahte aansu khushk agar ho jaaeinge
saat samundar apni khaali aaankhon mein bhar laaungaa
tumhaari yaad nikalti nahin mire dil se
nasha chhalaktaa nahin hai sharaab se baahar