Shayari
bahut udaas thaa us din magar huaa kyaa thaa
har ek baat bhali thi to phir buraa kyaa thaa
khudaa aabaad rakkhe zindagi ko
hamaari khaamushi ko sah gai hai
خدا آباد رکھے زندگی کو
ہماری خامشی کو سہہ گئی ہے
ख़ुदा आबाद रक्खे ज़िंदगी को
हमारी ख़ामुशी को सह गई है

bahut udaas thaa us din magar huaa kyaa thaa
har ek baat bhali thi to phir buraa kyaa thaa
dasht ki dhuup hai jangal ki ghani raatein hain
is kahaani mein bahr haal kai baatein hain
dosto tum se guzaarish hai yahaan mat aao
is baDe shahr mein tanhaai bhi mar jaati hai
raat aa jaae to phir tujh ko pukaarun yaa-rab
meri aavaaz ujaale mein bikhar jaati hai
ghaDi jo biit gai us kaa bhi shumaar kiyaa
nisaab-e-jaan mein tiri khaamushi bhi shaamil ki
uTh uTh ke aasmaan ko bataati hai dhuul kyuun
miTTi mein dafn ho gae kitne sadaf yahaan
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
chhin liin khushiyaan miri aankhon se meri niind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diyaa kuchh bhi nahin
dard ki lahr mein zindagi bah gai
umr yuun kaT gai hijr ki shaam mein
zindagi ke aakhiri lamhe khushi se bhar gayaa
ek din itnaa hansaa vo hanste hanste mar gayaa