Shayari
tasalli aap ne di farq hai haan dil ki haalat mein
jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jaati hai
na miT sakaa na miTegaa kabhi nishaan meraa
liyaa ajal ne kai baar imtihaan meraa
نہ مٹ سکا نہ مٹے گا کبھی نشاں میرا
لیا اجل نے کئی بار امتحاں میرا
न मिट सका न मिटेगा कभी निशाँ मेरा
लिया अजल ने कई बार इम्तिहाँ मेरा

tasalli aap ne di farq hai haan dil ki haalat mein
jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jaati hai
ye sher mere use sunaa do
puchhe jo koi 'jigar' main kyaa huun
ishq mein qadr-e-khastagi ki ummid
ai 'jigar' hosh ki davaa kijiye
aaj kyaa jaane kyaa hai hone ko
ji bahut chaahtaa hai rone ko
dard ho dukh ho to davaa kiije
phaT paDe aasmaan to kyaa kiije
maraz-e-ishq ko shifaa samjhe
dard ko dard ki davaa samjhe
ziist aur maut kaa aakhir ye fasaana kyaa hai
umr kyuun hasb-e-zarurat nahin di jaa sakti
kisi surat koi surat nikaalo
mujhe be-maut marne se bachaa lo
ye 'talkh' kiyaa kyaa hai khud se bhi gae tum to
marnaa hi kisi par thaa tum khud pe mare hote
aisaa dil-kash thaa ki thi maut bhi manzur hamein
ham ne jis jurm ki kaaTi hai sazaa zindaan mein
har dam dam-e-aakhir hai ajal sar pe khaDi hai
dam-bhar bhi ham is dam kaa bharosa nahin karte
hijr-e-jaanaan mein ji se jaanaa hai
bas yahi maut kaa bahaana hai