Shayari
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
aai jab un ki yaad to aati chali gai
har naqsh-e-maa-sivaa ko miTaati chali gai
آئی جب ان کی یاد تو آتی چلی گئی
ہر نقش ماسوا کو مٹاتی چلی گئی
आई जब उन की याद तो आती चली गई
हर नक़्श-ए-मा-सिवा को मिटाती चली गई

ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
meraa paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
ishq kaa ab martaba pahunchaa muqaabil husn ke
ban gae but ham bhi aakhir us sanam ki yaad mein
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
haae kyaa chiiz thi javaani bhi
ab to din raat yaad aati hai