Shayari
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
kyaa khabar thi khalish-e-naaz na jiine degi
ye tiri pyaar ki aavaaz na jiine degi
کیا خبر تھی خلش ناز نہ جینے دے گی
یہ تری پیار کی آواز نہ جینے دے گی
क्या ख़बर थी ख़लिश-ए-नाज़ न जीने देगी
ये तिरी प्यार की आवाज़ न जीने देगी

aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
meri nigaah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar
phir bhi tiraa shabaab tiraa hi shabaab hai
vo nazron hi nazron mein savaalaat ki duniyaa
vo aankhon hi aankhon mein javaabaat kaa aalam
nigaah-e-shauq ne mahshar mein saaf taaD liyaa
kahaan vo chhupte ki aankhon mein the samaae hue
ham kahin aate hain vaaiz tire bahkaane mein
isi maikhaane ki miTTi isi maikhaane mein
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kiyaa ishq-e-majaazi ne haqiqat aashnaa mujh ko
buton ne zulm vo Dhaayaa ki yaad aaya khudaa mujh ko
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
apni ammi ko mohabbat se jo dekhaa main ne
puuri jannat miri aankhon mein simaT aai hai
mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain us ke paas aaine hijr-o-visaal ke