Shayari
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
main mohabbat na chhupaaun tu adaavat na chhupaa
na yahi raaz mein ab hai na vahi raaz mein hai
میں محبت نہ چھپاؤں تو عداوت نہ چھپا
نہ یہی راز میں اب ہے نہ وہی راز میں ہے
मैं मोहब्बत न छुपाऊँ तू अदावत न छुपा
न यही राज़ में अब है न वही राज़ में है

gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
ye tarz-e-khaas hai koi kahaan se laaegaa
jo ham kaheinge kisi se kahaa na jaaegaa
mausam-e-gul hamein jab yaad aayaa
jitnaa gham bhule the sab yaad aayaa
haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh
dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa
unhin ke giit zamaane mein gaae jaaeinge
jo choT khaaeinge aur muskuraae jaaeinge
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hamesha aag ke dariyaa mein ishq kyuun utre
kabhi to husn ko gharq-e-azaab honaa thaa
gham-e-hasti bhalaa kab mo'tabar ho
mohabbat mein na jab tak aankh tar ho
ji chaahegaa jis ko use chaahaa na kareinge
ham ishq o havas ko kabhi yakjaa na kareinge
ishq ki duniyaa mein kyaa kyaa ham ko saughaatein milin
suuni subhein roti shaamein jaagti raatein milin