Shayari
siikh le ham se koi zabt-e-junun ke andaaz
barson paaband rahe par na hilaai zanjir
K
Karamat Ali Shaheediji chaahegaa jis ko use chaahaa na kareinge
ham ishq o havas ko kabhi yakjaa na kareinge
جی چاہے گا جس کو اسے چاہا نہ کریں گے
ہم عشق و ہوس کو کبھی یکجا نہ کریں گے
जी चाहेगा जिस को उसे चाहा न करेंगे
हम इश्क़ ओ हवस को कभी यकजा न करेंगे
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik taraf pyaar hai rishta hai vafaadaari hai
aur in sab mein hi us gham ki taraf-daari hai
ishq marhun-e-hikaayaat-o-gumaan bhi hogaa
vaaqia hai to kisi taur bayaan bhi hogaa
jitni vo mire haal pe karte hain jafaaein
aataa hai mujhe un ki mohabbat kaa yaqin aur
koi to dekhe miri bebasi mohabbat mein
main aap apni jahaan mein hansi uDaataa phirun