Shayari
zaruri to nahin ik fasl-e-gul ho
junun ke aur bhi mausam bahut hain
yaad na aane kaa vaada kar ke
vo to pahle se sivaa yaad aayaa
یاد نہ آنے کا وعدہ کر کے
وہ تو پہلے سے سوا یاد آیا
याद न आने का व'अदा कर के
वो तो पहले से सिवा याद आया

zaruri to nahin ik fasl-e-gul ho
junun ke aur bhi mausam bahut hain
har soch mein sangin fazaaon kaa fasaana
har fikr mein shaamil huaa tahrir kaa maatam
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hotaa
parvaaz mein thaa amn kaa maasum parinda
sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahunchaa
ek nazar mein us ne har ik dil ko jiit liyaa
ek nazar mein us ke ho gae jaane kitne log
main ki tere dhyaan mein gum thaa
duniyaa mujh ko DhunDh rahi thi
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
TimTimaate rahein bujhti hui yaadon ke charaagh
dil ki viraani pe gar aap ko israar na ho
jis ko tum bhuul ga.e yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare
aanaa ye hichkiyon kaa mujhe be-sabab nahin
bhule se us ne yaad kyaa ho ajab nahin
ham ko bhi kyaa kyaa maze ki daastaanein yaad thiin
lekin ab tamhid-e-zikr-e-dard-o-maatam ho gaiin