Shayari
kabhi kabhi safar-e-zindagi se ruuTh ke ham
tire khayaal ke saae mein baiTh jaate hain
aao ham hanste uThein bazm-e-dil-aazaaraan se
kaun ehsaas ko bimaar banaa kar uTThe
آؤ ہم ہنستے اٹھیں بزم دل آزاراں سے
کون احساس کو بیمار بنا کر اٹھے
आओ हम हँसते उठें बज़्म-ए-दिल-आज़ाराँ से
कौन एहसास को बीमार बना कर उट्ठे

kabhi kabhi safar-e-zindagi se ruuTh ke ham
tire khayaal ke saae mein baiTh jaate hain
gham nairang dikhaataa hai hasti ki jalva-numaai kaa
kitne zamaanon kaa haasil hai ik lamha tanhaai kaa
ye aarzu ke sitaare ye intizaar ke phuul
chamak rahi hain khataaein mahak rahe hain gunaah
apne gham ki fikr na ki is duniyaa ki gham-khvaari mein
barson ham ne dast-e-junun se kaam liyaa daanaai kaa
thi nazar ke saamne kuchh to talaafi ki umiid
khet sukhaa thaa magar dariyaa mein tughyaani to thi
takhliq ke parde mein sitam TuuT rahe hain
aazar hi ke haathon se sanam TuuT rahe hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa