Shayari
sabhi kirdaar thak kar so gae hain
magar ab tak kahaani chal rahi hai
nahin hai koi bhi hatmi yahaan had-e-maalum
har ek intihaa ik aur intihaa tak hai
نہیں ہے کوئی بھی حتمی یہاں حد معلوم
ہر ایک انتہا اک اور انتہا تک ہے
नहीं है कोई भी हतमी यहाँ हद-ए-मालूम
हर एक इंतिहा इक और इंतिहा तक है

sabhi kirdaar thak kar so gae hain
magar ab tak kahaani chal rahi hai
vaqt guzar jaataa hai lekin dil ki ranjish
dil mein baiThi ki baiThi hi rah jaati hai
ik chingaari aag lagaa jaati hai ban mein aur kabhi
ek kiran se zulmat ko chhaT jaanaa paDtaa hai
jiinaa to alag baat hai marnaa bhi yahaan par
har shakhs ki apni hi zarurat ke liye hai
yunhi bekaar main paDaa khud ko
kaar-aamad banaa rahaa huun main
banne vaali baat vahi hoti hai vo jo
bante bante yaksar banti rah jaati hai
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad