Shayari
umrein guzar gai hain asar ki talaash mein
kis naa-muraad lab ki duaa ho gae hain ham
ham ko jaanaa thaa kis taraf 'razmi'!
aur kis samt hain ravaan ham log
ہم کو جانا تھا کس طرف رزمیؔ!
اور کس سمت ہیں رواں ہم لوگ
हम को जाना था किस तरफ़ 'रज़्मी'!
और किस सम्त हैं रवाँ हम लोग

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
sitam hai sitam kaaba-e-dil kaa Dhaanaa
ye kyaa kar rahe ho ye kyaa ho rahaa hai
haath pistaan pe ghair kaa pahunchaa
aap bhi ab hue anaar-farosh
khuub gahri jo lagi choT to ham ne jaanaa
vaqt lagtaa hai kisi dard ko jaate jaate