Shayari
kuchh is liye bhi vo sailaab bhej detaa hai
ki bastiyon mein raho aur khanDar bhi saath rakho
umrein guzar gai hain asar ki talaash mein
kis naa-muraad lab ki duaa ho gae hain ham
عمریں گزر گئی ہیں اثر کی تلاش میں
کس نامراد لب کی دعا ہو گئے ہیں ہم
उम्रें गुज़र गई हैं असर की तलाश में
किस ना-मुराद लब की दुआ हो गए हैं हम

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
khizar bhi aap par aashiq hue hain
qazaa aai hayaat-e-jaavidaan ki
dekh ye baar kabhi sar se utartaa hi nahin
zindagi bhar ki musibat hai na ehsaan uThaa
us ki ulfat mein jite-ji marnaa
faaeda ye bhi zindagi se hai