Shayari
hazaaron chaand sitaare chamak gae hote
kabhi nazar jo tiri maail-e-karam hoti
raftaar-e-roz-o-shab se kahaan tak nibhaaungaa
thak-haar kar main ghar ki taraf lauT jaaungaa
رفتار روز و شب سے کہاں تک نبھاؤں گا
تھک ہار کر میں گھر کی طرف لوٹ جاؤں گا
रफ़्तार-ए-रोज़-ओ-शब से कहाँ तक निभाऊँगा
थक-हार कर मैं घर की तरफ़ लौट जाऊँगा

hazaaron chaand sitaare chamak gae hote
kabhi nazar jo tiri maail-e-karam hoti
meri tarah se ye bhi sataayaa huaa hai kyaa
kyuun itne daagh dikhte hain mahtaab mein abhi
sab log hamein ek nazar aate hain
andaaza nahin hotaa hai ab chehron kaa
aisaa ho zindagi mein koi khvaab hi na ho
andhiyaari raat mein koi mahtaab hi na ho
tum nahin aaoge khabar hai hamein
phir bhi ham intizaar kar leinge
vo buraai sab se meri kar rahe hain
kyuun nahin karte bayaan achchhaaiyon ko
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
ik raat vo gayaa thaa jahaan baat rok ke
ab tak rukaa huaa huun vahin raat rok ke
charaaghon ko aankhon mein mahfuz rakhnaa
baDi duur tak raat hi raat hogi
jab nigaahon ke ishaaraat badal jaate hain
khud-ba-khud pyaar ke jazbaat badal jaate hain