Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
charaaghon ko aankhon mein mahfuz rakhnaa
baDi duur tak raat hi raat hogi
چراغوں کو آنکھوں میں محفوظ رکھنا
بڑی دور تک رات ہی رات ہوگی
चराग़ों को आँखों में महफ़ूज़ रखना
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
ghubaar-e-shahr mein use na DhunD jo khizaan ki shab
havaa ki raah se milaa, havaa ki raah par gayaa
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki