Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
mujhe to un ki ibaadat pe rahm aataa hai
jabin ke saath jo sajde mein dil jhukaa na sake
مجھے تو ان کی عبادت پہ رحم آتا ہے
جبیں کے ساتھ جو سجدے میں دل جھکا نہ سکے
मुझे तो उन की इबादत पे रहम आता है
जबीं के साथ जो सज्दे में दिल झुका न सके

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumaar'
kyaa baat ho gai jo khudaa yaad aa gayaa
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qarib aa gai hai
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
jhunjhlaae hain lajaae hain phir muskuraae hain
kis ehtimaam se unhein ham yaad aae hain
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
tu bhi jaise badal saa jaataa hai
aks-e-divaar ke badalte hi
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
kyaa karun ai dil-e-maayus zaraa ye to bataa
kyaa kiyaa karte hain sadmon se hiraasaan ho kar
ye havaa sard chali aur ye baadal aae
kaho saaqi se ki saaghar chale botal aae