Shayari
is e'tiraaf se ras ghul rahaa hai kaanon mein
vo e'tiraaf jo us ne abhi kiyaa bhi nahin
mire is avvalin ashk-e-mohabbat par nazar kar
ye moti siip mein phir umr-bhar aataa nahin hai
مرے اس اولیں اشک محبت پر نظر کر
یہ موتی سیپ میں پھر عمر بھر آتا نہیں ہے
मिरे इस अव्वलीं अश्क-ए-मोहब्बत पर नज़र कर
ये मोती सीप में फिर उम्र-भर आता नहीं है

is e'tiraaf se ras ghul rahaa hai kaanon mein
vo e'tiraaf jo us ne abhi kiyaa bhi nahin
bas dariche se lage baiThe rahe ahl-e-safar
sabza jaltaa rahaa aur yaad-e-vatan aati rahi
maut ki ek alaamat hai agar dekhaa jaae
ruuh kaa chaar anaasir pe savaari karnaa
jo tamaam umr rahaa sabab ki talaash mein
vo tiri nigaah mein be-sabab nahin aa sakaa
ham teri tabiat ko 'khurshid' nahin samjhe
patthar nazar aataa thaa royaa to bahut royaa
jo shakhs na royaa thaa tapti hui raahon mein
divaar ke saae mein baiThaa to bahut royaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aablon kaa shikva kyaa Thokaron kaa gham kaisaa
aadmi mohabbat mein sab ko bhuul jaataa hai
ishq ke maraahil mein vo bhi vaqt aataa hai
aafatein barasti hain dil sukun paataa hai
miri zindagi kaa haasil tire gham ki paasdaari
tire gham ki aabru hai mujhe har khushi se pyaari
hamein aakhirat mein 'aamir' vahi umr kaam aai
jise kah rahi thi duniyaa gham-e-ishq mein ganvaa di