Shayari
yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
sakhti-ayyaam dauDe aati hai patthar liye
kyaa miraa nakhl-e-tamannaa baarvar hone lagaa
سختیٔ ایام دوڑے آتی ہے پتھر لیے
کیا مرا نخل تمنا بارور ہونے لگا
सख़्ती-अय्याम दौड़े आती है पत्थर लिए
क्या मिरा नख़्ल-ए-तमन्ना बारवर होने लगा

yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
phir vahi ham the vahi tum the mohabbat the vahi
sulh kar lete agar aankhein laDaane ke liye
yuun phir rahe hain jaise koi baat hi nahin
aaluda mere khuun se daamaan kiye hue
silsila rakhtaa hai meraa kufr kuchh islaam se
hain kai tasbih ke daane miri zunnaar mein
haath dikhlaa ke ye bolaa vo musalmaan-zaada
ho gayaa dast-e-nigar ab to barahman apnaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
kis ki phir jhuTi qasam khaaiyegaa
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
jiine vaalon se kaho koi tamannaa DhunDein
ham to aasuda-e-manzil hain hamaaraa kyaa hai
hamein bhi hoti kisi roz hasrat-e-didaar
jo koh-e-tur pe muusaa gae nahin hote
jab kashti saabit-o-saalim thi saahil ki tamannaa kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par saahil ki tamannaa kaun kare
marne ki duaaein kyuun maangun jiine ki tamannaa kaun kare
ye duniyaa ho yaa vo duniyaa ab khvaahish-e-duniyaa kaun kare