Shayari
darakht karte nahin is liye umid-e-vafaa
vo jaante hain parindon ke par nikalte hain
mausam-e-yaad yuun ujlat mein na vaare jaaein
ham vo lamhe hain jo fursat se guzaare jaaein
موسم یاد یوں عجلت میں نہ وارے جائیں
ہم وہ لمحے ہیں جو فرصت سے گزارے جائیں
मौसम-ए-याद यूँ उजलत में न वारे जाएँ
हम वो लम्हे हैं जो फ़ुर्सत से गुज़ारे जाएँ

darakht karte nahin is liye umid-e-vafaa
vo jaante hain parindon ke par nikalte hain
main haar jaataa huun un do udaas aankhon se
mujhe safar kaa iraada badalnaa paDtaa hai
hamin bujhaate hain lau pahle sab charaaghon ki
phir in charaaghon ke hisse kaa jalnaa paDtaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
yaksaan kabhi kisi ki na guzri zamaane mein
yaadash-ba-khair baiThe the kal aashiyaane mein
dil hai ki tiri yaad se khaali nahin rahtaa
shaayad hi kabhi main ne tujhe yaad kiyaa ho
us ki raahon mein paDaa main bhi huun kab se lekin
bhuul jaataa huun use yaad dilaane ke liye
bas ik yahi to kharaabi hai us ki fitrat mein
vo mujh ko yaad to kartaa hai par zarurat mein