Shayari
maat-pitaa ko de ban-vaas
khud ko aagyaa-kaari likh
aapsi rishton ki khushbu ko koi naam na do
is taqaddus ko na kaaghaz par utaaraa jaae
آپسی رشتوں کی خوشبو کو کوئی نام نہ دو
اس تقدس کو نہ کاغذ پر اتارا جائے
आपसी रिश्तों की ख़ुशबू को कोई नाम न दो
इस तक़द्दुस को न काग़ज़ पर उतारा जाए

jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai
divaangi meri ke tahayyur mein shab-o-roz
hai halqa-e-zanjir se zindaan hama-tan-chashm
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae