Shayari
ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
vusat-e-dil are maaaz allaah
saari duniyaa samaai jaati hai
وسعت دل ارے معاذ اللہ
ساری دنیا سمائی جاتی ہے
वुसअत-ए-दिल अरे मआज़ अल्लाह
सारी दुनिया समाई जाती है

ishq ki allaah re fitna-kaariyaan
paak-daaman chaak-daaman ho gae
miraa aanaa jahaan mein munhasir thaa tiin baaton par
jafaa sahnaa vafaa karnaa aur us ke baad mar jaanaa
parda hai ik baqaa kaa raaz-e-fanaa na puchho
mar kar bhi saath ham se chhuTaa na zindagi kaa
yuun manzar-e-hasti pe tiri chhaa gaiin aankhein
ik kaif saa har chiiz pe barsaa gaiin aankhein
yuun be-hijaab hain ki hain jaise hijaab mein
us bazm mein kisi ko majaal-e-nazar kahaan
ishq ki fitrat ne yuun badlaa mazaaq-e-zindagi
jitne gham baDhne lage utni khushi hone lagi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
ab raah-e-vafaa ke patthar ko ham phuul nahin samjheinge kabhi
pahle hi qadam par Thes lagi dil TuuT gayaa achchhaa hi huaa