Shayari
vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi
shab-e-hijr yuun dil ko bahlaa rahe hain
ki din bhar ki biiti ko dohraa rahe hain
شب ہجر یوں دل کو بہلا رہے ہیں
کہ دن بھر کی بیتی کو دہرا رہے ہیں
शब-ए-हिज्र यूँ दिल को बहला रहे हैं
कि दिन भर की बीती को दोहरा रहे हैं

vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
in se jab puchhaa gayaa bismil tumhaare kyaa karein
hans ke bole zakhm-e-dil dekhaa karein royaa karein
kisi aankh mein niind aae to jaanun
miraa qissa-e-gham kahaani nahin hai
daaman-o-jeb-o-garebaan kaa nahin koi malaal
gham ye hai dast-e-junun kal ke liye kaam nahin
kam-sini kyaa kam thi is par qahr hai shakki mizaaj
apnaa naavak mere dil se khinch kar dekhaa kiye
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi