Shayari
aap ko mere taaaruf ki zarurat kyaa hai
main vahi huun ki jise aap ne chaahaa thaa kabhi
dil se duur hue jaate hain ghaalib ke kalkatte vaale
guwahati mein dekhe ham ne aise aise chehre vaale
دل سے دور ہوئے جاتے ہیں غالب کے کلکتے والے
گوہاٹی میں دیکھے ہم نے ایسے ایسے چہرے والے
दिल से दूर हुए जाते हैं ग़ालिब के कलकत्ते वाले
गुवाहाटी में देखे हम ने ऐसे ऐसे चेहरे वाले

aap ko mere taaaruf ki zarurat kyaa hai
main vahi huun ki jise aap ne chaahaa thaa kabhi
ek main ne hi ugaae nahin khvaabon ke gulaab
tu bhi is jurm mein shaamil hai miraa saath na chhoD
safar mein achaanak sabhi ruk gae
ajab moD apni kahaani mein thaa
jab ham teraa naam na leinge
vo bhi ek zamaanaa hogaa
vo meraa jab na ho sakaa to phir yahi sazaa rahe
kisi ko pyaar jab karun vo chhup ke dekhtaa rahe
doston se mulaaqaat ki shaam hai
ye sazaa kaaT kar apne ghar jaaungaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai