Shayari
ham tire hijr ki sabhi raatein
pi ke cigarette guzaar dete hain
in samajh-daaron mein koi to miri baat sune
in samajh-daaron mein ik shakhs to paagal nikle
ان سمجھ داروں میں کوئی تو مری بات سنے
ان سمجھ داروں میں اک شخص تو پاگل نکلے
इन समझ-दारों में कोई तो मिरी बात सुने
इन समझ-दारों में इक शख़्स तो पागल निकले

ham tire hijr ki sabhi raatein
pi ke cigarette guzaar dete hain
khud-kushi bhi haraam hai yaa-rab
dil ki vahshat kaa kyaa 'ilaaj karun
niind mein bhi hai sharm chehre par
khvaab mein mujh se mil rahi ho kyaa
tum mire khvaab mein nahin aanaa
TuuT jaate hain mere khvaab sabhi
pahle hansne to do musibat par
phir ye socheinge kyaa kiyaa jaae
jaane kyon hijr ke sabhi mausam
tere lahje mein baat karte hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
khafaa dekhaa hai us ko khvaab mein dil sakht muztar hai
khilaa de dekhiye kyaa kyaa gul-e-taabir-e-khvaab apnaa
vo koThe kaa makaan vo kaali aandhi vo sanam gul-ru
ajab rangon ki Thahri aa ke heraa-pher aandhi mein