Shayari
ham tire hijr ki sabhi raatein
pi ke cigarette guzaar dete hain
kyaa karte us se haath milaa kar bataaiye
dil kaise miltaa jis se tabi'at nahin mili
کیا کرتے اس سے ہاتھ ملا کر بتائیے
دل کیسے ملتا جس سے طبیعت نہیں ملی
क्या करते उस से हाथ मिला कर बताइए
दिल कैसे मिलता जिस से तबी'अत नहीं मिली

ham tire hijr ki sabhi raatein
pi ke cigarette guzaar dete hain
khud-kushi bhi haraam hai yaa-rab
dil ki vahshat kaa kyaa 'ilaaj karun
niind mein bhi hai sharm chehre par
khvaab mein mujh se mil rahi ho kyaa
tum mire khvaab mein nahin aanaa
TuuT jaate hain mere khvaab sabhi
pahle hansne to do musibat par
phir ye socheinge kyaa kiyaa jaae
jaane kyon hijr ke sabhi mausam
tere lahje mein baat karte hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
hai dil mein zulf-e-yaar ke aalam ko dekhiye
phanste hain aap daam mein ham ham ko dekhiye
in ashkon kaa dil se kyaa taalluq
ye shoale jigar se aa rahe hain
koi taaza lagaao zakhm dil par
puraani ye nishaani ho rahi hai
'maasum' ajab hai haal-e-chaman har shoale kaa yahaan badlaa hai chalan
shaakhon ko jalaayaa jaataa hai taair ko sataayaa jaataa hai