Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kyaa jaanun chashm-e-tar se udhar dil ko kyaa huaa
kis ko khabar hai 'mir' samundar ke paar ki
کیا جانوں چشم تر سے ادھر دل کو کیا ہوا
کس کو خبر ہے میرؔ سمندر کے پار کی
kyā jānūñ chashm-e-tar se udhar dil ko kyā huā
kis ko ḳhabar hai 'mīr' samundar ke paar kī

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dikhaai diye yuun ki be-khud kiyaa
hamein aap se bhi judaa kar chale
'mir'-saahib zamaana naazuk hai
donon haathon se thaamiye dastaar
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi