Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
thaa sab ko daavaa ishq kaa lekin na Thahraa koi bhi
daanista apni jaan se dil ko uThaayaa ek main
تھا سب کو دعویٰ عشق کا لیکن نہ ٹھہرا کوئی بھی
دانستہ اپنی جان سے دل کو اٹھایا ایک میں
thā sab ko da.avā ishq kā lekin na Thahrā koī bhī
dānista apnī jaan se dil ko uThāyā ek maiñ

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai dil-e-zaar maza dekh liyaa ulfat kaa
ham na kahte the ki is kaam mein zillat hogi
jo kuchh paDti hai sar par sab uThaataa hai mohabbat mein
jahaan dil aa gayaa phir aadmi majbur hotaa hai
apni kahein ki is dil-e-khaana-kharaab ki
tum ko jo ho pasand vahi guftugu karein
ye vaaiz kaisi bahki bahki baatein ham se karte hain
kahin chaDh kar sharaab-e-ishq ke nashshe utarte hain