Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
us pe takiya kiyaa to thaa lekin
raat din ham the aur bistar thaa
اس پہ تکیہ کیا تو تھا لیکن
رات دن ہم تھے اور بستر تھا
us pe takiya kiyā to thā lekin
raat din ham the aur bistar thā

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dikhaai diye yuun ki be-khud kiyaa
hamein aap se bhi judaa kar chale
'mir'-saahib zamaana naazuk hai
donon haathon se thaamiye dastaar
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
huaa hai shah kaa musaahib phire hai itraataa
vagarna shahr mein 'ghaalib' ki aabru kyaa hai
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki