Shayari
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
hui muddat ki 'ghaalib' mar gayaa par yaad aataa hai
vo har ik baat par kahnaa ki yuun hotaa to kyaa hotaa
ہوئی مدت کہ غالبؔ مر گیا پر یاد آتا ہے
وہ ہر اک بات پر کہنا کہ یوں ہوتا تو کیا ہوتا
huī muddat ki 'ġhālib' mar gayā par yaad aatā hai
vo har ik baat par kahnā ki yuuñ hotā to kyā hotā

Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
Mirza Asadullah Baig Khan, known by his pen name Ghalib, was a renowned Urdu and Persian poet during the last years of the Mughal Empire.
1797–1869
View all quotes by Mirza Ghalibphir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar dekhaa kiye marne ki raah
mar gae par dekhiye dikhlaaein kyaa
saadgi o purkaari be-khudi o hushyaari
husn ko taghaaful mein jurat-aazmaa paayaa
girni thi ham pe barq-e-tajalli na tuur par
dete hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
log patthar ke the fariyaad kahaan tak karte
dil ke viraane ham aabaad kahaan tak karte
kyaa baDhegaa vo tasavvur ki hadon se aage
subh ko dekh ke yaad aae jise shaam ki baat
ahd-e-aaghaaz-e-tamannaa bhi mujhe yaad nahin
mahv-e-hairat huun ki itnaa bhi mujhe yaad nahin
khud vo karte hain jise ahd-e-vafaa se taabir
sach to ye hai ki vo dhokaa bhi mujhe yaad nahin
umr guzri hai magar khud se judaa kar na sake
bhulne vaale tiri yaad mein kyaa rakkhaa hai