Shayari
ye kaisi be-qaraari sunne vaalon ke dilon mein hai
varaq dohraa rahaa hai kyaa koi meri kahaani kaa
kyaa baDhegaa vo tasavvur ki hadon se aage
subh ko dekh ke yaad aae jise shaam ki baat
کیا بڑھے گا وہ تصور کی حدوں سے آگے
صبح کو دیکھ کے یاد آئے جسے شام کی بات
क्या बढ़ेगा वो तसव्वुर की हदों से आगे
सुब्ह को देख के याद आए जिसे शाम की बात

ye kaisi be-qaraari sunne vaalon ke dilon mein hai
varaq dohraa rahaa hai kyaa koi meri kahaani kaa
un ki nigaah-e-naaz ki gardish ke saath saath
mahsus ye huaa ki zamaana badal gayaa
us ki hansi tum kyaa samjho
vo jo pahron royaa hai
ai inqalaab-e-nau tiri raftaar dekh kar
khud ham bhi sochte hain ki ab tak kahaan rahe
sharik-e-dard nahin jab koi to ai 'shaukat'
khud apni zaat ki bechaargi ghanimat hai
hudud-e-jism se aage baDhe to ye dekhaa
ki tishnagi thi barahna tiri adaaon tak
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
basi hai sukhe gulaabon ki baat saanson mein
koi khayaal kisi yaad ke hisaar mein hai
vo tiraa unchi haveli ke qafas mein rahnaa
yaad aae to parindon ko rihaa kartaa huun
bas ek raat se kaise thakan utarti hai
badan ko chaahiye aaraam kuchh ziyaada hi
bevafaai ki jab bhi baat chali
baa-khudaa tum bahut hi yaad aae
main us ke baare mein itnaa ziyaada sochtaa huun
ki ek roz use ru-ba-ru to honaa hai