Shayari
khafaa bhi ho ke jo dekhe to sar nisaar karun
agar na dekhe to phir bhi hai ik salaam se kaam
M
Miskeen Shahdair se kaaba gae kaaba se maabadgaah mein
khaak bhi paayaa nahin dair-o-haram ki raah mein
دیر سے کعبہ گئے کعبہ سے معبدگاہ میں
خاک بھی پایا نہیں دیر و حرم کی راہ میں
दैर से काबा गए काबा से माबदगाह में
ख़ाक भी पाया नहीं दैर-ओ-हरम की राह में
khafaa bhi ho ke jo dekhe to sar nisaar karun
agar na dekhe to phir bhi hai ik salaam se kaam
raah se dair-o-haram ki hai jo ku-e-yaar mein
hai vahi din-daar gar kuffaar aataa hai nazar
baad muddat gardish-e-tasbih se 'miskin' hamein
daana-e-tasbih mein zunnaar aataa hai nazar
chhoD dein dair-o-haram kufr aur islaam ke log
kaaba-e-dil mein jo dekhein mire but-khaana-e-ishq
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad