Shayari
meri aankhon mein hue raushan jo ashkon ke charaagh
un ke honTon par tabassum kaa diyaa jaltaa rahaa
ham hain tahzib ke alam-bardaar
ham ko urdu zabaan aati hai
ہم ہیں تہذیب کے علمبردار
ہم کو اردو زبان آتی ہے
हम हैं तहज़ीब के अलम-बरदार
हम को उर्दू ज़बान आती है

meri aankhon mein hue raushan jo ashkon ke charaagh
un ke honTon par tabassum kaa diyaa jaltaa rahaa
duur rahti hain sadaa un se balaaein saahil
apne maan baap ki jo roz duaa lete hain
khaamushi teri miri jaan liye leti hai
apni tasvir se baahar tujhe aanaa hogaa
masale to zindagi mein roz aate hain magar
zindagi ke masalon kaa hal nikalnaa chaahiye
marte dam tak sab mujh ko insaan kahein
aisaa hi kirdaar miraa ho yaa-allaah
meri nindein haraam kyaa hongi
ghar mein rizq-e-halaal aataa hai
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
har fikr sirf jaagne vaale kaa hai nasib
jo so rahaa hai bas vahi banda maze mein hai
ye pahlaa ishq hai tumhaaraa soch lo
mire liye ye raastaa nayaa nahin
savaal karti kai aankhein muntazir hain yahaan
javaab aaj bhi ham soch kar nahin aae