Shayari
khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
sho'la-e-'ishq agar dil mein farozaan ho jaae
baDh ke ye qatra-e-khun mahr-e-darakhshaan ho jaae
شعلۂ عشق اگر دل میں فروزاں ہو جائے
بڑھ کے یہ قطرۂ خوں مہر درخشاں ہو جائے
शो'ला-ए-'इश्क़ अगर दिल में फ़रोज़ाँ हो जाए
बढ़ के ये क़तरा-ए-ख़ूँ महर-ए-दरख़्शाँ हो जाए

khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
dekhaa jo din ko us ne su-e-charkh-e-be-madaar
sonaa utar gayaa varaq-e-aaftaab kaa
kuchh na puchho daraazi-e-shab-e-hijr
kaT gai 'umr aur sahar na hui
qaabu mein rakkhe ablaq-e-lail-o-nahaar ko
dekhaa na main ne aisaa kisi shahsavaar ko
muskuraahaT lab-e-naazuk pe nigaahein nichi
kis se sikhaa hai ye andaaz dil-aaraai kaa
dekhaa jo main ne naama-e-aa'maal hashr mein
qissa likhaa thaa mere aur un ke shabaab kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa