Shayari
koi shikva nahin ham ko kisi se
khud apni zaat ham ko chhal rahi hai
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
آتا رہا ہوں یاد میں اس کو تمام عمر
اس زاویے سے عشق میں ناکام کب ہوا
आता रहा हूँ याद मैं उस को तमाम उम्र
इस ज़ाविए से इश्क़ में नाकाम कब हुआ

koi shikva nahin ham ko kisi se
khud apni zaat ham ko chhal rahi hai
ye kaise marhale mein phans gayaa hai meraa ghar maalik
agar chhat ko bachaa bhi luun to phir divaar jaati hai
sunaa hai dhuup ko ghar lauTne ki jaldi hai
vo aaj vaqt se pahle hi shaam kar degi
main tujh se jhuk ke milaa huun magar ye dhyaan rahe
baDaa nahin huun magar tujh se qad mein kam bhi nahin
ghazal kahne mein yuun to koi dushvaari nahin hoti
magar ik masala ye hai ki meyaari nahin hoti
main khud ko dekhun agar dusre ki aankhon se
mileingi khaamiyaan apne hi shah-kaaron mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'nabil' is ishq mein tum jiit bhi jaao to kyaa hogaa
ye aisi jiit hai pahlu mein jis ke haar chalti hai
shaaeri ishq gham rizq kitaabein ghar-baar
kitni samton mein ba-yak-vaqt guzar hai meraa
meri miTTi mein mohabbat hi mohabbat hai 'nabil'
chhu ke dekho to sahi haath lagaao to sahi