Shayari
jab saamne nazar ke ho ik husn-e-be-panaah
aise mein khud ko hosh mein rakhnaa kamaal hai
dil hi TuuTaa ho kuchh ajab to nahin
ashk aankhon mein be-sabab to nahin
دل ہی ٹوٹا ہو کچھ عجب تو نہیں
اشک آنکھوں میں بے سبب تو نہیں
दिल ही टूटा हो कुछ अजब तो नहीं
अश्क आँखों में बे-सबब तो नहीं

jab saamne nazar ke ho ik husn-e-be-panaah
aise mein khud ko hosh mein rakhnaa kamaal hai
zer-e-asar nahin hai kisi rahnumaa ke ham
maalik isi liye hain khud apni razaa ke ham
zindagi tu mujhe kis moD pe le aai hai
kyaa koi aur bhi guzraa hai idhar se pahle
raho ghar mein ziyaada to safar aavaaz detaa hai
safar mein jab nikal jaao to ghar aavaaz detaa hai
kahkashaan chaand sitaare hain faqat naqsh-e-qadam
dekhte jaao kahaan tak hai rasaai meri
anjaam-e-hijr kyaa hai ye tum khud hi dekh lo
ham intizaar-e-yaar mein patthar ke ho gae
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kyaa kyaa rog lage hain dil ko kyaa kyaa un ke bhed
ham sab ko samjhaane vaale kaun hamein samjhaae
tu bhi jaise badal saa jaataa hai
aks-e-divaar ke badalte hi
kar na jurat tu ai tabib ki ye
dil kaa dhaDkaa hai ikhtilaaj nahin
kisi ko saal-e-nau ki kyaa mubaarakbaad di jaae
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai