Shayari
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
shoala-e-ishq tiri chashm-navardi mein nahin
mere siine mein utar dekh yahaan uThtaa hai
شعلۂ عشق تری چشم نوردی میں نہیں
میرے سینے میں اتر دیکھ یہاں اٹھتا ہے
शो'ला-ए-इश्क़ तिरी चश्म-नवर्दी में नहीं
मेरे सीने में उतर देख यहाँ उठता है

itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
isi javaab ke raste savaal aate hain
isi savaal mein saaraa javaab Thahraa hai
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
jab ye jism sulagtaa hai to ruuh bhi jalne lagti hai
parvaane kaa ishq mukammal hotaa hai jal jaane mein
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye
niind ke ghar mein hain khvaab aane lage
'ishq hai naachtaa aankh ke sahn mein
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi