Shayari
nazar aati nahin hain kam-nazar ko
saraabon ke jigar mein naddiyaan hain
huaa kyaa ai nasim-e-subh-gaahi
jo murjhaayaa huaa dil kaa kanval hai
ہوا کیا اے نسیم صبح گاہی
جو مرجھایا ہوا دل کا کنول ہے
हुआ क्या ऐ नसीम-ए-सुब्ह-गाही
जो मुरझाया हुआ दिल का कँवल है

nazar aati nahin hain kam-nazar ko
saraabon ke jigar mein naddiyaan hain
muddat guzri Duub chukaa huun dard ki pyaasi lahron mein
zinda huun ye koi na jaane saans ke aane jaane se
tumhaari yaad ke saae bhi kuchh simaT se gae
ghamon ki dhuup to baahar thi aks andar thaa
kyaa khabar kab qaid-e-baam-o-dar se uktaa jaae dil
bastiyon ke darmiyaan sahraa bhi honaa chaahiye
jo saaya-daar shajar the vo sarf-e-daar hue
dikhaai dete nahin duur duur tak saae
bol kis moD pe huun kashmakash-e-marg-o-hayaat
aise aalam mein kahaan chhoD diyaa hai mujh ko
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
dil par pahan liyaa hai vo gajre ke jaisaa shakhs
lekin gale kaa haar nahin kar rahaa huun main