Shayari
khaak huun uDtaa huun sach hai ki main aavaara-mizaaj
paani hotaa bhi to sailaab mein dekhaa jaataa
bas ek pyaar ne saalim rakhaa hamein yaaro
raqib mar gae ham mein shigaaf karte hue
بس ایک پیار نے سالم رکھا ہمیں یارو
رقیب مر گئے ہم میں شگاف کرتے ہوئے
बस एक प्यार ने सालिम रखा हमें यारो
रक़ीब मर गए हम में शिगाफ़ करते हुए

khaak huun uDtaa huun sach hai ki main aavaara-mizaaj
paani hotaa bhi to sailaab mein dekhaa jaataa
chaahne vaalo pyaar mein thoDi aazaadi bhi laazim hai
dekho meraa phuul ziyaada dekh-bhaal se TuuT gayaa
mujhe duniyaa ke taanon par kabhi ghussa nahin aataa
nadi ki tah mein jaa ke saare patthar baiTh jaate hain
aaj to aise bijli chamki baarish aai khiDki bhigi
jaise baadal khinch rahaa ho mere ashkon ki tasvirein
kitni bhi pyaari ho har ik shai se ji uktaa jaataa hai
vaqt ke saath to chamkile zevar bhi kaale paD jaate hain
use manaane mein ham ne ganvaa diyaa us ko
ki shisha TuuT gayaa dhuul saaf karte hue
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se