Shayari
khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
bas ki hai pesh-e-nazar past-o-buland-e-aalam
Thokarein khaa ke miri aankhon mein khvaab aataa hai
بس کہ ہے پیش نظر پست و بلند عالم
ٹھوکریں کھا کے مری آنکھوں میں خواب آتا ہے
बस कि है पेश-ए-नज़र पस्त-ओ-बुलंद-ए-आलम
ठोकरें खा के मिरी आँखों में ख़्वाब आता है

khuub taazir-e-gunaah-e-ishq hai
naqd-e-jaan lenaa yahaan jurmaana hai
sunti hai roz naghma-e-zanjir-e-aashiqaan
vo zulf bhi hai silsila-e-ahl-e-chisht mein
jis roz main gintaa huun tire aane ki ghaDiyaan
suraj ko banaa deti hai sone ki ghaDi baat
haath milvaate ho tarsaae gilauri ke liye
kaf-e-afsos na mal jaae kahin paanv mein
jab kabhi maski kaTori kyaa sadaa paidaa hui
karti hai angiyaa ki chiDiyaa chahchahaane ki havas
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki niind shart nahin khvaab dekhne ke liye
bahut hasin thi duniyaa bahut kharaab hai khalq
shikast-e-khvaab se pahle shikast-e-khvaab ke baad
aankhon ko sab ki niind bhi di khvaab bhi diye
ham ko shumaar karti rahi dushmanon mein raat
ham paDh rahe the khvaab ke purzon ko joD ke
aandhi ne ye tilism bhi rakh Daalaa toD ke