Shayari
mahfil un ki saaqi un kaa
aankhein apni baaqi un kaa
allaah re be-khudi ki tire paas baiTh kar
teraa hi intizaar kiyaa hai kabhi kabhi
اللہ رے بے خودی کہ ترے پاس بیٹھ کر
تیرا ہی انتظار کیا ہے کبھی کبھی
अल्लाह रे बे-ख़ुदी कि तिरे पास बैठ कर
तेरा ही इंतिज़ार किया है कभी कभी

mahfil un ki saaqi un kaa
aankhein apni baaqi un kaa
tufaan-e-gham ki tund havaaon ke baavajud
ik sham-e-aarzu hai jo ab tak bujhi nahin
ye soch kar bhi hans na sake ham shikasta-dil
yaaraan-e-gham-gusaar kaa dil TuuT jaaegaa
tu mire gham mein na hansti hui aankhon ko rulaa
main to mar mar ke bhi ji saktaa huun meraa kyaa hai
tiraa hijr meraa nasib hai tiraa gham hi meri hayaat hai
mujhe teri duuri kaa gham ho kyon tu kahin bhi ho mire paas hai
itnaa bhi naa-umid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahin ki shaam-e-alam ki sahar na ho
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
hudud-e-vaqt se baahar ajab hisaar mein huun
main ek lamha huun sadiyon ke intizaar mein huun
ik pal kaa qurb ek baras kaa phir intizaar
aai hai january to december chalaa gayaa
kyaa maaal-e-dahr hai meri mohabbat kaa maaal
hain abhi laakhon fasaane muntazir aaghaaz ke