Shayari
aarzu hai ki tu yahaan aae
aur phir umr bhar na jaae kahin
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke baavajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi
اے دوست ہم نے ترک محبت کے باوجود
محسوس کی ہے تیری ضرورت کبھی کبھی
ऐ दोस्त हम ने तर्क-ए-मोहब्बत के बावजूद
महसूस की है तेरी ज़रूरत कभी कभी

aarzu hai ki tu yahaan aae
aur phir umr bhar na jaae kahin
vaqt achchhaa bhi aaegaa 'naasir'
gham na kar zindagi paDi hai abhi
bhari duniyaa mein ji nahin lagtaa
jaane kis chiiz ki kami hai abhi
hamaare ghar ki divaaron pe 'naasir'
udaasi baal khole so rahi hai
judaaiyon ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi niind aa gai mujhe bhi sabr aa gayaa
vo koi dost thaa achchhe dinon kaa
jo pichhli raat se yaad aa rahaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye