Shayari
ranj yuun raah-e-masaafat mein mile
kuchh kamaae kuchh viraasat mein mile
is dafa to zindagi jaldi mein thi
kah do agli baar fursat mein mile
اس دفعہ تو زندگی جلدی میں تھی
کہہ دو اگلی بار فرصت میں ملے
इस दफ़ा तो ज़िंदगी जल्दी में थी
कह दो अगली बार फ़ुर्सत में मिले

ranj yuun raah-e-masaafat mein mile
kuchh kamaae kuchh viraasat mein mile
rah gae kitne kirdaar bhitar mire
mere bhitar miraa qaafila rah gayaa
yahi daaimi mashghala hai hamaaraa
nai chiiz le lo puraani milaa do
nishaan raahi ke raahon pe ho na ho lekin
nishaan raahon ke aksar mileinge raahi pe
mohabbat faqat lafz thaa ek khaali
ye kis ne kahaa thaa maaani milaa do
kuchh vaqt zaraa aur nahar duudh ki legi
farhaad ko tesha nahin manzur huaa hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe